Waqt Shayari

Read here our great collection of waqt shayari in hindi, bura waqt shayari, waqt waqt ki baat shayari, new waqt shayari in 2 line, shayari on waqt, latest waqt quotes in hindi. Best poetry about waqt is available here in hindi and english language.

Hindi Waqt Shayari, Waqt Bura Ho To

Waqt Bura Ho To, Kuchh Kam Nahi Aata,
Fir Kya Naseeb, Kya Kismat, Aur Kya Haath Ki Lakeerein.
वक्त बुरा हो तो, कुछ काम नहीं आता,
फिर क्या नसीब, क्या किस्मत, और क्या हाथ की लकीरें।

Waqt Shayari in Hindi

Waqt Ke Bhi Ajeeb Kisse Hain,
Kisi Ka KatTa Nahi Aur Kisi Ke Paas Hota Nahi.
वक्त के भी अजीब किस्से है,
किसी का कटता नहीं और किसी के पास होता नहीं।

Kuchh Yoon Badal Rahe Hain Hum Waqt Ke Saath,
Ki Aayina Bhi Chaunk Jaate Hain Hum Ko Dekhkar.
कुछ यूं बदल रहे हैं हम वक्त के साथ,
कि आईने भी चौंक जाते हैं हमको देखकर।

[ Continue Reading → ]

Waqt Ki Fitrat Aadmi Si

Waqt Ki Fitrat Nahin Thaharkar Rehne Ki,
Iski Bhi Fitrat Hai Aadami Ki Tarah.
वक़्त की फितरत नहीं ठहरकर रहने की,
इसकी भी फितरत है आदमी की तरह।

Waqt Ke Saath Apne Bhi Paraye Ho Jate Hain,
Waqt Ke Saath Paraye Bhi Apne Ho Jate Hain.
वक़्त के साथ अपने भी पराये हो जाते हैं,
वक़्त के साथ पराये भी अपने हो जाते हैं।

Jara Dheere Chal Ai Mere Hamsafar,
Waqt Lagega Mujhko Tujhse Kadam Milane Mein.
जरा धीरे चल ऐ मेरे हमसफर,
वक़्त लगेगा मुझको तुझसे कदम मिलाने में।

Waqt Gujarte Waqt Nahi Lagta

Waqt Ko Gujarte Waqt Nahi Lagta,
Waqt Milne Par Bhi Waqt Nahi Milta,
Hum To Waqt Nikaal Kar Aapko Yaad Karte Hain,
Aapko To Utna Bhi Waqt Nahi Milta.
वक्त को गुज़रते वक्त नहीं लगता,
वक्त मिलने पर भी वक्त नहीं मिलता,
हम तो वक्त निकाल कर आपको याद करते हैं,
आपको तो उतना भी वक्त नहीं मिलता।

Waqt Gujrega Aur Hum Bikhar Jayenge,
Kaun Jaane Ke Hum Kidhar Jayenge,
Hum Aapki Parchhaai Hain Yaad Rakhna,
Jahan Tanhai Mili Wahan Najar Aayenge.
वक्त गुजरेगा और हम बिखर जाएंगे,
कौन जाने कि हम किधर जाएंगे,
हम आपकी परछाई हैं याद रखना,
जहां तन्हाई मिली वहां नजर आएंगे।

[ Continue Reading → ]

Waqt Ki Ajeeb Kahaani

Waqt Ki Bhi Ajeeb Kahaani Hoti Hai,
Kisi Ka Katata Nahin Kisi Ke Paas Hota Nahin.
वक़्त की भी अजीब कहानी होती है,
किसी का कटता नहीं किसी के पास होता नहीं।

Kabhi Ek Si Nahin Rehti Waqt Ki Fitarat Ai Dost,
Khud Bhi Ro Jaate Hain Auron Ko Rulane Wale.
कभी एक सी नहीं रहती वक़्त की फितरत ऐ दोस्त,
खुद भी रो जाते हैं औरों को रुलाने वाले।

[ Continue Reading → ]

Waqt Ki Aandhi

Umr Ki Raah Mein Raste Badalte Hain,
Waqt Ki Aandhi Mein Insaan Badalte Hain,
Sochte Hain Tumhein Itna Yaad Na Karein Lekin,
Aankh Band Karte Hi Iraade Badalte Hain.
उम्र की राह में रास्ते बदलते हैं,
वक़्त की आंधी में इंसान बदलते हैं,
सोचते हैं तुम्हें इतना याद ना करें लेकिन,
आँख बंद करते ही इरादे बदलते हैं।

[ Continue Reading → ]

Shayari Categories