Aankhein Shayari (Shayari on Eyes)

Read here latest collection of Shayari on Eyes in Hindi, Aankho Par Shayari, Aankho pe Shayari, Shayari on Beautiful Eyes, Aankhon Par Shayari, Aankhein Shayari, Shayari on Aankhein, 2 Line Shayari on Eyes in Hindi, Aankhon Mein Shayari, Shayari on Eyes, Eyes Shayari in English, Eyes Poetry in Urdu, 2 Line Shayari on Eyes, Shayari on Eyes in Urdu, Aankhon Ki Shayari, Poetry on Eyes by Ghalib, Shayari on Smile and Eyes in Hindi.

Ye Aankhein Talash Karti Hain

Ye Aankhein Har Pal Unhein Talaash Karti Hain,
Koi To Hai Jiske Deedar Ke Liye Tarasti Hain.
ये आँखे हर पल उन्हें तलाश करती हैं,
कोई तो है जिसके दीदार के लिए तरसती हैं।

Eyes Shayari - Haseen Aankhein

Tumhein Baithakar Puchhenge Tumhari Haseen Aankhon Se,
Kisse Seekha Hai Har Dil Mein Utar Jaana.
तुम्हें बैठाकर पूछेंगे तुम्हारी हसीन आँखों से,
किससे सीखा है हर दिल में उतर जाना।

Jo Nasha Hai Teri Aankhon Mein Wo Baat Kahan Is Pyaale Mein,
Bas Tu Mil Jaye To Fir Kya Rakha Hai Zamane Mein.
जो नशा है तेरी आँखों में वो बात कहां इस प्याले में,
बस तू मिल जाए तो फिर क्या रखा है ज़माने में।

Uske Har Sawal Ka Jawaab Meri Aankhon Mein Milega,
Wo Meri Jubaan Khulne Ka Intazaar Karte Rahe.
उसके हर सवाल का जवाब मेरी आँखों में मिलेगा,
वो मेरी जुबान खुलने का इंतज़ार करते रहे।

Mujhe Darr Hai Tumhari Nasheeli Aankhon Ka,
Kahin Loot Na Len Kisi Din Kuchh Pila Ke Mujhko.
मुझे डर है तुम्हारी नशीली आँखों का,
कहीं लूट न लें किसी दिन कुछ पिला के मुझको।

Subah To Ho Gayi Par Ye Abhi Aankh Bhaari Hai,
Khwaab Koi Nashe Sa Ab Tak Aankhon Mein Hai.
सुबह तो हो गई पर ये अभी आँख भारी है,
ख्बाव कोई नशे सा अब तक आँखों में है।

Aankhon Mein Basane Ke Baad

Meri Aankhon Mein Koi Aur Basta Nahin,
Aapko In Aankhon Mein Basane Ke Baad,
Mera Dil Ab Kahi Aur Lagta Nahin,
Ik Aapse Dil Ko Lagane Ke Baad.
मेरी आँखों में कोई और बसता नहीं,
आपको इन आँखों में बसाने के बाद,
मेरा दिल अब कही और लगता नहीं,
इक आपसे दिल को लगाने के बाद।

Humein Aapki Aankhon Mein Panaah Mil Jaye,
Dil Kya Jaan Bhi Aapke Naam Ho Jaye,
Duniya Bhale Hi Humein Deewana Karaar De,
Meri Zindagi Aapki Chahat Mein Fanaa Ho Jaye.
हमें आपकी आँखों में पनाह मिल जाये,
दिल क्या जान भी आपके नाम हो जाये,
दुनिया भले ही हमें दीवाना करार दे,
मेरी जिंदगी आपकी चाहत में फना हो जाये।

Tumhein Dekhne Ke Liye Tarsati Hain Aankhein,
Tumhare Bina Bahut Barasti Hain Aankhein,
Mere Liye Na Sahi Inke Liye Aa Jaao,
Kyunki Tumhein Be-Intaha Chahati Hain Aankhein.
तुम्हें देखने के लिए तरसती हैं आँखें,
तुम्हारे बिना बहुत बरसती हैं आँखें,
मेरे लिए ना सही इनके लिए आ जाओ,
क्योंकि तुम्हें बेइन्तहा चाहती हैं आँखें।

Aankhon Me Ek Sapna

Ta-Umr Aankho Mein Ek Sapna Yaad Raha,
Ek Zamana Beet Gaya Vo Lamha Yaad Raha,
Na Jane Kya Baat Thi Unme Aur Ham Mein,
Sari Mahfil Bhool Gaye Woh Chehra Yaad Raha.
ता-उम्र आंखो मे एक सपना याद रहा,
एक जमाना बीत गया वो लम्हा याद रहा,
ना जाने क्या बात थी उनमे और हममे,
सारी महफ़िल भूल गए वह चेहरा याद रहा।

Chiragon Ko Aankhon Mein Mahafooj Rakhna,
Bahut Door Tak Raat Hi Raat Hogi,
Musafir Ho Aap, Musafir Hain Hum,
Kisi Mod Par, Phir Mulakaat Hogi.
चिरागों को आंखों में महफूज रखना,
बहुत दूर तक रात ही रात होगी,
मुसाफिर हो आप, मुसाफिर हैं हम,
किसी मोड़ पर, फिर मुलाकात होगी।

Khamosh Chehre Hain Hajar Pehre Hain,
Hasti Aankhon Mein Bhi Zakhm Gehre Hain,
Jinse Aksar Roothh Jaate Hain Hum,
Asal Mein Unse Hi Rishtey Gahre Hain.
खामोश चेहरे हैं हजार पहरे हैं,
हंसती आंखों में भी जख्म गहरे हैं,
जिनसे अक्सर रूठ जाते हैं हम,
असल में उनसे ही रिश्ते गहरे हैं।

Shayari Categories