Gussa Shayari

Gussa Kar Ke Pareshaan Rehte Hain

Gussa Karke Pareshan Rehte Hain - Gussa Shayari

Main Kaise Manaaoon Usey, Wo Naadaan Hai Bahut,
Gussa Kar Ke Mujhpe Khud Bhi Pareshaan Rehte Hain.
मैं कैसे मनाऊं उसे, वो नादान है बहुत,
गुस्सा कर के मुझपे खुद भी परेशान रहते हैं।

Uski Yeh Masoom Adaa Mujhe Bahut Bhaati Hai,
Wo Naraaz Mujhse Hoti Hai Aur Gussa Sabko Dikhati Hai.
मुझे उसकी ये मासूम अदा बहुत भाती है,
वो नाराज मुझसे होते हैंऔर गुस्सा सबको दिखाते हैं।

Jinhein Gussa Aata Hai Wo Log Sachche Hote Hain,
Maine Jhoothhon Ko Aksar Muskraate Huye Dekha Hai.
जिन्हें गुस्सा आता है वो लोग सच्चे होते हैं,
मैंने झूठों को अक्सर मुस्कुराते हुए देखा है।

Gussa Shayari, Hum Gussa Unn Se Hote

Hum Gussa Unn Se Hote Hain,
Jin Pe Humein Yaqeen Hota Hai,
Ke Wo Humein Manaa Lenge,
Aur Hum Manaate Usey Hain,
Jise Hum Kabhi Khona Nahi Chahte.

हम गुस्सा उन से होते हैं,
जिन पे हमें यकीन होता है,
कि वो हमें मना लेंगे,
और हम मनाते उसे हैं,
जिसे हम कभी खोना नहीं चाहते।

Gussa Shayari, Naraaz Hona Aapse

Naraaz Hona Aapse Galti Kehlayegi,
Aap Hue Naraaz Toh Yeh Saans Tham Jayegi,
Aap Haste Rahein Yoohi Zindagi Bhar,
Aapki Hasi Se Humari Zindagi Sanwar Jayegi.
नाराज होना आपसे गलती कहलाएगी,
आप हुए नाराज तो ये सांस थम जाएगी,
आप हँसते रहें यूं ही जिंदगी भर,
आपकी हँसी से हमारी जिंदगी संवर जाएगी।

[ Continue Reading → ]

Khafa Bhi Rehte Hain

Khafa Bhi Rehte Hain Aur Wafa Bhi Karte Hain,
Iss Tarah Apne Pyar Ko Bayan Bhi Karte Hain,
Jaane Kaisi Narazgi Hai Meri Unse,
Khona Bhi Chahte Hain Aur Pane Ki Dua Bhi Karte Hain.
खफा भी रहते हैं और वफा भी करते हैं,
इस तरह अपने प्यार को बयान भी करते हैं,
जाने कैसी नारजगी है मेरी उनसे,
खोना भी चाहते हैं और पाने की दुआ भी करते हैं।

[ Continue Reading → ]

Naraaz Shayari, Aisi Bhi Kya Narajgi

Na Wo Aaye Na Unki Koi Khabar,
Intazar Mein Unke Tadape Is Kadar,
Humse Khata Hui To Bata Dete Humein,
Aisi Bhi Kya Narajgi Thi Humse,
Jo Hata Baithe Apni Pyari Si Najar.
न वो आये न उनकी कोई खबर,
इंतज़ार में उनके तड़पे इस कदर,
हमसे खता हुई तो बता देते हमे,
ऐसी भी क्या नाराजगी थी हमसे,
जो हटा बैठे अपनी प्यारी सी नजर।

[ Continue Reading → ]

Shayari Categories