Main Kaise Manaaoon Usey, Wo Naadaan Hai Bahut,
Gussa Kar Ke Mujhpe Khud Bhi Pareshaan Rehte Hain.
मैं कैसे मनाऊं उसे, वो नादान है बहुत,
गुस्सा कर के मुझपे खुद भी परेशान रहते हैं।
Uski Yeh Masoom Adaa Mujhe Bahut Bhaati Hai,
Wo Naraaz Mujhse Hoti Hai Aur Gussa Sabko Dikhati Hai.
मुझे उसकी ये मासूम अदा बहुत भाती है,
वो नाराज मुझसे होते हैंऔर गुस्सा सबको दिखाते हैं।
Jinhein Gussa Aata Hai Wo Log Sachche Hote Hain,
Maine Jhoothhon Ko Aksar Muskraate Huye Dekha Hai.
जिन्हें गुस्सा आता है वो लोग सच्चे होते हैं,
मैंने झूठों को अक्सर मुस्कुराते हुए देखा है।