Intezaar Shayari

Aadat Tere Intezar Ki

Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin,
Aadat Jo Pad Gayi Thi Tere Intezar Ki.
मरने के बाद भी मेरी आँखें खुली रहीं,
आदत जो पड़ गयी थी तेरे इंतज़ार की।

Main Intezar Ka Qaayal Na Tha Magar Tum Ne,
Laga Diya Mujhe Deewaar Se Ghadi Ki Tarah.
मैं इंतज़ार का कायल न था मगर तुम ने,
लगा दिया मुझे दीवार से घड़ी की तरह।

[ Continue Reading → ]

Uska Intezar Muddat Se

Kyun Khud Ko Beqarar Kiye Ja Rahe Hain,
Kisi Bewafa Ko Pyaar Kiye Ja Rahe Hain,
Aaya Jo Na Sanam Kabhi, Aur Na Ayega Phir Kabhi,
Kyun Uska Intezar Hum Muddat Se Kiye Ja Rahe Hain.

क्यों खुद को बेकरार किये जा रहे हैं,
किसी बेवफा को प्यार किये जा रहे हैं,
आया जो न सनम कभी, और न आएगा फिर कभी,
क्यों उसका इंतज़ार हम मुद्दत से किये जा रहे हैं।

Intezaar Hai Ki Wo Mile

Waqt Ki Dor Thaam Kar Baithe Hain Hun,
Intezaar Hai Ki Wo Mile Aur Hum Chale.
वक़्त की डोर थाम कर बैठे हैं हम,
इन्तजार है वो कि मिले और हम चले।

Waada Hai Uska Shaam Ke Waqt Aayega,
Sahar Se Hi Hum Palaken Bichhaye Baithen Hain.
वादा है उसका शाम के वक़्त आयेगा,
सहर से ही हम पलकें बिछाये बैठें हैं।

Waqt Ki Paabandiyan Hain Meri Zindagi Par,
Laut Aao Isase Pahale Ki Aakhiree Shaam Aa Jaaye.
वक़्त की पाबंदियां हैं मेरी ज़िन्दगी पर,
लौट आओ इससे पहले कि आखिरी शाम आ जाये।

Intezaar Tha Humein

Har Lamha Qaid Kar In Aankhon Mein,
Raat Ki Khamoshi Ka Intezaar Tha Humein,
Jaise Hi Jaaye Ye Din Ka Ujala,
Raat Ki Gehrai Mein Sukoon Ka Intezaar Tha Humein.
हर लम्हा कैद कर इन आँखों में,
रात की ख़ामोशी का इंतज़ार था हमें,
जैसे ही जाये ये दिन का उजाला,
रात की गहराई में सुकून का इंतज़ार था हमें।

[ Continue Reading → ]

Shayari Categories