Apne Shayari

Rooth Jaate Hain Apne

जिस लम्हें में टूट जाते हैं सपने,
उस लम्हें में ही रूठ जाते हैं अपने,
हमारे पास मनाने का हुनर नहीं,
तभी तो हमसे रूठ जाते हैं अपने।
Jis Lamhen Mein Toot Jaate Hain Sapne,
Us Lamhen Mein Hi Rooth Jaate Hain Apne,
Hmare Pas Manaane Ka Hunar Nahin,
Tbhi To Hamse Rooth Jaate Hain Apne.

अपने शायरी, अपनापन शायरी

जिंदगी में प्यार भी अपने ही देते है,
जिंदगी में साथ भी अपने ही देते है,
अपनों से कभी रूठना नहीं, क्यूंकि..
मुस्कराहट भी सिर्फ अपने ही देते है।
Zindagi Mein Pyaar Bhi Apne Hi Dete Hai,
Zindagi Mein Saath Bhi Apne Hi Dete Hai,
Apnon Se Kbhi Roothna Nahin, Kyunki..
Muskaraaht Bhi Sirf Apne Hi Dete Hai.

टूट जाते हैं बिखर जाते हैं,
कांच के घर हैं मुकद्दर अपने,
गैर भी प्यार से मिलते हैं,
भूल जाते हैं तो अक्सर अपने।
Toot Jaate Hain Bikhar Jaate Hain,
Kaanch Ke Ghar Hain Mukaddar Apne,
Gair Bhi Pyaar Se Milte Hain,
Bhool Jaate Hain To Aksar Apne.

Apne Wo Nahin Hote

Apne Wo Nahin Hote Jo Khushi Mein Saath Dete Hain,
Apne Wo Hote Hain Jo Dukh Mein Bhi Saath Dete Hain.
अपने वो नही होते जो ख़ुशी में साथ देते हैं,
अपने वो होते हैं जो दुःख में भी साथ देते हैं।

Yah Kahakar Wo Mera Saath Chhod Gaya,
Tere Apne Hi Bahut Hain Tujhe Aansoo Dene Ke Liye.
यह कहकर वो मेरा साथ छोड़ गया,
तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे आँसू देने के लिए।

Dhadkan Ka Rukna To Bahut Chhoti Si Baat Hai Yaaro,
Jab Apna Koi Yaad Na Kare Maut To Use Kahte Hai.
धड़कन का रुकना तो बहुत छोटी सी बात है यारो,
जब अपना कोई याद ना करे मौत तो उसे कहते है।

Jhukta Hoon To Sirf Apnon Ke Liye,
Par Log Ise Meri Mazboori Samjhte Hain.
झुकता हूँ तो सिर्फ अपनों के लिए,
पर लोग इसे मेरी मज़बूरी समझते हैं।

Maanne Wale Khud Hi Apna Mante Hain,
Kisi Ko Kahkar Apna Bnaya Nahin Jaata.
मानने वाले ख़ुद ही अपना मानते हैं,
किसी को कहकर अपना बनाया नहीं जाता।

Bas Itna Pata Tha Sab Apne The,
Kisne Kya Chaal Chali Kuchh Yaad Nahin.
बस इतना पता था सब अपने थे,
किसने क्या चाल चली कुछ याद नहीं।

Shayari Categories