So friends, keep reading our collection of one of the best Sad Shayari (सैड शायरी). If you like these shayaris then do not forget to like and share on facebook and whatsapp.
Khayaal Aandhi Hai Uska Ki Dil Kaanp Jaata Hai,
Mere Udaas Khayaalon Kiwaad Mat Kholo.
खयाल आँधी है उसका कि दिल काँप जाता है,
मेरे उदास खयालों किवाड़ मत खोलो।
Main Ise Shohrat Kahoon Ya Apni Ruswaai Kahoon,
Mujhse Pehle Uss Gali Mein Mere Afsaane Gaye.
मैं इसे शोहरत कहूँ या अपनी रुसवाई कहूँ,
मुझसे पहले उस गली में मेरे अफ़साने गए।
Ye Bhi Achha Hua Ki Use Paa Na Sake Hum,
Wo Humare Ho Ke Bichhadte To Qayamat Hoti.
ये भी अच्छा हुआ कि उसे पा न सके हम,
वो हमारे हो के बिछड़ते तो कयामत होती।
Iss Khayaal Se Hi Har Shaam Jald Neend Aayi,
Mujh Se Bichhade Huye Log Sheher-e-Khwaab Mein Hain.
इस ख्याल से ही हर शाम जल्द नींद आई,
मुझसे बिछड़े हुए लोग शहर-ए-ख्वाब में हैं।
Naam Uska Likh Kar Mita Raha Tha Main,
Dil Ko Apne Yoon Behla Raha Tha Main,
Na Thi Jisko Mere Pyar Ki Kadar Dosto,
Na Chahte Hue Bhi Bas Usi Ko Chaah Raha Tha Main.
नाम उसका लिख कर मिटा रहा था मैं,
दिल को अपने यूं बहला रहा था मैं,
न थी जिसको मेरे प्यार की कदर दोस्तों,
न चाहते हुए भी बस उसी को चाह रहा था मैं।
Abhi Raah Mein Kayi Mod Hain,
Koi Aayega Koi Jayega,
Tumhein Jisne Dil Se Bhula Diya,
Use Bhoolne Ki Dua Karo.
अभी राह में कई मोड़ हैं,
कोई आएगा कोई जाएगा,
तुम्हें जिसने दिल से भुला दिया,
उसे भूलने की दुआ करो।
Ajeeb Rishta Hai Kuchh Uss Shakhs Se,
Na Nafrat Ki Wajah Mili Na Mohabbat Ka Sila.
अजीब रिश्ता है कुछ उस शख्स से,
न नफरत की वजह मिली न मोहब्बत का सिला।
Na Jaane Kaun Si Galiyon Mein Chhod Aaya Hoon,
Charaagh Jalte Hue Khwaab Muskurate Hue.
न जाने कौन सी गलियों में छोड़ आया हूँ,
चिराग़ जलते हुए, ख्वाब मुस्कुराते हुए।
Koi Toh Poochhe Kyun Udaas Hoon Main,
Koi Toh Ho Jis Ke Liye Khas Hoon Main,
Ye Zindagi Ghamo Ka Ek Samunder Hai,
Aur Lagta Hai Ki Us Samunder Ki Pyaas Hu Main.
कोई तो पूछे क्यों उदास हूँ मैं,
कोई तो हो जिस के लिए खास हूँ मैं,
ये ज़िन्दगी ग़मो का एक समुन्दर है,
और लगता है कि उस समुन्दर की प्यास हूँ मैं।