Maut Ki Dua Mangta Hoon

Main Maut Ki Dua Mangta Hun Khuda Se,
Qatl To Mera Har Pal Mere Apne Hi Karte Hain.
मैं मौत की दुआ मांगता हूँ खुदा से ,
क़त्ल तो मेरा हर पल मेरे अपने ही करते हैं।

Pehle Tum Aaoge Ya Maut Shayari

Suna Hai Tum Lakiren Dekhne Ka Hunar Rkhte Ho.
Haath Dekh Kar Btana Ki Pahle Tum Aaoge Ya Maut.
सुना है तुम लकीरें देखने का हुनर रखते हो।
हाथ देख कर बताना कि पहले तुम आओगे या मौत।

Dhadkan Ruk Jaana To Bahut Chhoti Si Baat Hai Dosto,
Jab Apne Yaad Krna Chhod De, Maut Use Kahte Hai.
धड़कन रुक जाना तो बहुत छोटी सी बात है दोस्तो,
जब अपने याद करना छोड़ दे, मौत उसे कहते है।

Umr Bhar Ke Liye Hai Maut Se Naata Mera,
Jab Tak Jinda Rahunga Paas Fatkegi Nahin Wo.
उम्र भर के लिए है मौत से नाता मेरा,
जब तक जिंदा रहूँगा पास फटकेगी नहीं वो।

Maut Uski Hai, Kare Jiska Zmana Afsos,
Yun To Zindgi Mein Aaye Hain Sbhi Mrne Ke Liye.
मौत उसकी है, करे जिसका ज़माना अफ़सोस,
यूँ तो ज़िंदगी में आये हैं सभी मरने के लिए।

Ilzaam Kisi Aur Ko Kya Dun Apni Maut Ka Dosto,
Yahan To Maarne Wale Bhi Apne The Aur Dfnane Wale Bhi Apne.
इल्ज़ाम किसी और को क्या दूँ अपनी मौत का दोस्तो,
यहाँ तो मारने वाले भी अपने थे और दफ़नाने वाले भी अपने।

Related Shayari

Shayari Categories