Aap Ka Aashiyana Dil Mein Basaya Hai,
Aapki Yaado Ko Seene Se Lagaya Hai,
Pata Nahi Yaad Aapki Hi Kyun Aati Hai,
Dost To Humne Auro Ko Bhi Banaya Hai.
आप का आशियाना दिल में बसाया है,
आपकी यादो को सीने से लगाया है,
पता नहीं याद आपकी ही क्यों आती है,
दोस्त तो हमने औरों को भी बनाया है।
Mohabbat Wo Nahin Hoti Jo Jaan De,
Mohabbat Wo Nahin Hoti Jo Muskaan De,
Mohabbat To Wo Hoti Hai Ae Sanam,
Jo Hasate Chehre Ka Duhkh Pehchaan Le.
मोहब्बत वो नहीं होती जो जान दे,
मोहब्बत वो नहीं होती जो मुस्कान दे,
मोहब्बत तो वो होती है ऐ सनम,
जो हँसते चेहरे का दुःख पहचान ले।
Ek Main Hi Nahi Jurm-e-Mohabbat Ka Khata-Waar,
Halka Sa Tabassum Bhi To Shamil Tha Udhar Se.
एक मैं ही नहीं जुर्म-ए-मोहब्बत का खता-वार,
हल्का सा तबस्सुम भी तो शामिल था उधर से।

Ye Surkh Lab, Ye Rukhsaar, Aur Ye MadHosh Najrein,
Itne Kam Faaslon Par To Maykhane Bhi Nahi Hote.
ये सुर्ख लब, ये रुखसार, और ये मदहोश नज़रें,
इतने कम फासलों पर तो मयखाने भी नहीं होते।
Tu Chehre Ki Badti Salwaton Ki Parwah Na Kar,
Hum Likhenge Shayari Mein Hamesha Jawaan Tujhko.
तू चेहरे की बढ़ती सलवटों की परवाह न कर,
हम लिखेंगे शायरी में हमेशा जवां तुझको।
Yaad Karoge Jab Bhi Apani Tanhaiyon Ko,
Ek Jalta Hua Charaag Nazar Aaunga Main,
Raah Se RehGuzar Ban Ke Bhi Gujar Jayoge,
Ek Meel Ka Patthar Sa Khada Nazar Aauga Main.
याद करोगे जब भी अपनी तन्हाईयों को,
एक जलता हुआ चराग नज़र आऊँगा मैं,
राह से रहगुज़र बन के भी गुजर जाओगे,
एक मील का पत्थर सा खड़ा नज़र आऊंगा मैं।
Jaroori To Nahin Ki Tum Mera Har Kaha Maano,
Tere Naam Kar Di Hai Mohabbat Aage Tum Jaano.
जरूरी तो नहीं कि तुम मेरा हर कहा मानो,
तेरे नाम कर दी है मोहब्बत आगे तुम जानो।
Kahan-Kahan Nahin Khoje Tumne Sachchi Mohabbat Ke Nishaan,
Kabhi To Palat Kar Meri Aankhon Mein Dekha Hota.
कहाँ कहाँ नहीं खोजे तुमने सच्ची मोहब्बत के निशां,
कभी तो पलट कर मेरी आँखों में देखा होता।
Tapakati Hai Nigaahon Se Jhalakati Hai Adaaon Se,
Kaun Kehta Hai Mohabbat Pahachaani Nahin Jaati?
टपकती है निगाहों से झलकती है अदाओं से,
कौन कहता है मोहब्बत पहचानी नहीं जाती?