Khafa Bhi Rehte Hain

Khafa Bhi Rehte Hain Aur Wafa Bhi Karte Hain,
Iss Tarah Apne Pyar Ko Bayan Bhi Karte Hain,
Jaane Kaisi Narazgi Hai Meri Unse,
Khona Bhi Chahte Hain Aur Pane Ki Dua Bhi Karte Hain.
खफा भी रहते हैं और वफा भी करते हैं,
इस तरह अपने प्यार को बयान भी करते हैं,
जाने कैसी नारजगी है मेरी उनसे,
खोना भी चाहते हैं और पाने की दुआ भी करते हैं।

Sirf Najdeekiyon Se Mohabbat Huaa Nahi Karti,
Faasle Jo Dilon Mein Ho, To Fir Chahat Hua Nahi Karti,
Agar Naraz Ho, Khafa Ho, To Shikayat Karo Humse,
Khamosh Rehne Se Dilo Ki Dooriyan Mita Nahi Karti.
सिर्फ नजदीकियों से मोहब्बत हुआ नहीं करती,
फासले जो दिलों में हो, तो फिर चाहत हुआ नहीं करती,
अगर नाराज हो, खफा हो, तो शिकायत करो हमसे,
खामोश रहने से दिलों की दूरियां मिटा नहीं करती।

Na Woh Aaye Aur Na Koi Unka Paigaam Aaya,
Intezar Mein Aapne Tadpa Kar Humein Hai Rulaya,
Humse Khataa Hui Agar Koi, Tum Bata Toh Dete,
Aisi Bhi Kya Narazgi Thi Jo Humein Aapne Bhulaya.
न वो आए और न कोई उनका पैगाम आया,
इंतजार में आपने तड़पा कर हमें है रुलाया,
हमसे खता हुई अगर कोई, तुम बता तो देते,
ऐसी भी क्या नाराजगी थी जो हमें आपने भुलाया।

Related Shayari

Shayari Categories