Friendship Shayari (दोस्ती शायरी)

Kehte Hain Uss Daur Ko Dosti Ka Daur

Kuchh Rishte Anjaane Mein Bann Jaate Hain,
Pehle Dil Se Fir Zindagi Se Jud Jaate Hain,
Sab Kehte Hain Uss Daur Ko Dosti Ka Daur,
Jis Mein Anjaane Log Apne Bann Jaate Hain.
कुछ रिश्ते अनजाने में बन जाते हैं,
पहले दिल से फिर ज़िन्दगी से जुड़ जाते हैं,
सब कहते हैं उस दौर को दोस्ती का दौर,
जिस में अनजाने लोग अपने बन जाते हैं।

Shayari For Friend - Dosti Ka Daur

[ Continue Reading → ]

Hansi Ka Naam Hai Dosti

Khushi Ki Parchhaiyon Ka Naam Hai Dosti,
Ghamon Ki Gehraiyon Ka Naam Hai Dosti,
Ek Pyara Sa Dost Hai Humara Yahan,
Uski Pyari Ki Hansi Ka Naam Hai Dosti.
ख़ुशी की परछाईयों का नाम है दोस्ती,
ग़मों की गहराइयों का नाम है दोस्ती,
एक प्यारा सा दोस्त है हमारा यहाँ,
उसकी प्यारी सी हँसी का नाम है दोस्ती।

[ Continue Reading → ]

Dosti Ki Tadap

Dosti Ki Tadap Ko Kabhi Dikhaya Nahi Jata,
Dil Mein Lagi Aag Ko Bujhaya Nahi Jata,
Kitni Bhi Doorie Ho Dosti Mein Aap Se,
Kabhi Aap Jaise Dost Ko Bhulaya Nahi Jata.
दोस्ती की तड़प को कभी दिखाया नहीं जाता,
दिल में लगी आग को बुझाया नहीं जाता,
कितनी भी दूरी हो दोस्ती में आप से,
कभी आप जैसे दोस्त को भुलाया नहीं जाता।

[ Continue Reading → ]

Agar Dosti Bikhar Jayegi

Fir Na Simtegi Agar Dosti Bikhar Jayegi,
Zindagi Zulf Nahi Jo Fir Se Sanwar Jayegi,
Jo Khushi De Tumhein Thaam Lo Daaman Uska,
Zindagi Ro Kar Nahi Hans Kar Gujar Jayegi.

फिर न सिमटेगी अगर दोस्ती बिखर जायेगी,
ज़िन्दगी जुल्फ नहीं जो फिर से संवर जायेगी,
जो ख़ुशी दे तुम्हें थाम लो दामन उसका,
ज़िन्दगी रो कर नहीं हँस कर गुज़र जायेगी।

Mere Jaisa Dost Kahan Payega

Yoon To Har Mod Pe Tujhe Koi Na Koi Chahega,
Magar Mere Jaisa Dost Tu Kahan Se Payega?
Hum To Bina Soche Jaan Luta Dein Tujh Par,
Darr Hai Ke Tu Mere Jane Ka Gham Na Seh Payega.

यूँ तो हर मोड़ पर तुझे कोई न कोई चाहेगा,
मगर मेरे जैसा दोस्त तू कहाँ से पायेगा?
हम तो बिना सोचे जान लुटा दें तुझ पर,
डर है कि तू मेरे जाने का ग़म न सह पायेगा।

[ Continue Reading → ]

Shayari Categories