Aankhon Me Ek Sapna

Ta-Umr Aankho Mein Ek Sapna Yaad Raha,
Ek Zamana Beet Gaya Vo Lamha Yaad Raha,
Na Jane Kya Baat Thi Unme Aur Ham Mein,
Sari Mahfil Bhool Gaye Woh Chehra Yaad Raha.
ता-उम्र आंखो मे एक सपना याद रहा,
एक जमाना बीत गया वो लम्हा याद रहा,
ना जाने क्या बात थी उनमे और हममे,
सारी महफ़िल भूल गए वह चेहरा याद रहा।

Chiragon Ko Aankhon Mein Mahafooj Rakhna,
Bahut Door Tak Raat Hi Raat Hogi,
Musafir Ho Aap, Musafir Hain Hum,
Kisi Mod Par, Phir Mulakaat Hogi.
चिरागों को आंखों में महफूज रखना,
बहुत दूर तक रात ही रात होगी,
मुसाफिर हो आप, मुसाफिर हैं हम,
किसी मोड़ पर, फिर मुलाकात होगी।

Khamosh Chehre Hain Hajar Pehre Hain,
Hasti Aankhon Mein Bhi Zakhm Gehre Hain,
Jinse Aksar Roothh Jaate Hain Hum,
Asal Mein Unse Hi Rishtey Gahre Hain.
खामोश चेहरे हैं हजार पहरे हैं,
हंसती आंखों में भी जख्म गहरे हैं,
जिनसे अक्सर रूठ जाते हैं हम,
असल में उनसे ही रिश्ते गहरे हैं।

Related Shayari

Shayari Categories