Ishara To Madad Ka Kar Raha Tha Doobne Wala,
Magar Yaraan-e-Saahil Ne Salaam-e-Alvida Samjha.
इशारा तो मदद का कर रहा था डूबने वाला,
मगर यारां-ए-साहिल ने सलाम-ए-अलविदा समझा।
Badal Dena Hai Rasta Ya Kahin Par Baithh Jana Hai,
Ki Thakta Ja Raha Hai Humsafar Aahista-Aahista.
बदल देना है रास्ता या कहीं पर बैठ जाना है,
कि थकता जा रहा है हमसफ़र आहिस्ता-आहिस्ता।
Dekho Na Itne Shauk Se Ye Unchi Imaaratein,
Mumkin Hai Ke Neev Mein Armaan Dafan Hon.
देखो न इतने शौक से ये ऊँची इमारतें,
मुमकिन है कि नींव में अरमान दफ़न हों।

Jis Taraf Chaahe Ye Qismat Ka Likha Le Jaye,
Jaise Sookhe Hue Patton Ko Hawaa Le Jaye.
जिस तरफ चाहे ये किस्मत का लिखा ले जाये,
जैसे सूखे हुए पत्तों को हवा ले जाये।
Haath Ki Lakeerein Bhi Kitni Ajeeb Hain,
Haath Ke Andar Hain Par Kaboo Se Bahar.
हाथ की लकीरें भी कितनी अजीब हैं,
हाथ के अन्दर हैं पर काबू से बाहर।
Sahej Ke Kyun Rakhte Ho Khushi Ke Pal Janaab,
Baant Do Inhen Na Khone Ka Dar, Na Chori Ka.
सहेज के क्यों रखते हो खुशी के पल जनाब,
बाँट दो इन्हें न खोने का डर, न चोरी का।
Arse Baad Dekha Use Aankhon Pe Yakeen Aaya Nahin,
Waqt Uske Jism Ka Sab Sange-Marmar Pee Gaya.
अरसे बाद देखा उसे आँखों पे यकीं आया नहीं,
वक़्त उसके जिस्म का सब संगे-मरमर पी गया।
Badal Jati Hai Insaan-e-Fitrat Waqt Badlne Se,
Chaand Bhi To Hamesha Ek Sa Nahin Rahta.
बदल जाती है इंसान-ए-फितरत वक़्त बदलने से,
चाँद भी तो हमेशा एक सा नहीं रहता।
Apni Soorat Se Jo Jahir Hai Chhupayein Kaise,
Teri Marzi Ke Mutaabik Najar Aayein Kaise.
अपनी सूरत से जो जाहिर है छुपायें कैसे,
तेरी मर्जी के मुताबिक नजर आयें कैसे।
Apne Kheton Se Bichhadne Ki Saza Paata Hoon,
Ab Main Raashan Ki Qataaron Mein Najar Aata Hoon.
अपने खेतों से बिछड़ने की सज़ा पाता हूँ,
अब मैं राशन की क़तारों में नजर आता हूँ।