Dekho Na Itne Shauk Se

Dekho Na Itne Shauk Se Ye Unchi Imaaratein,
Mumkin Hai Ke Neev Mein Armaan Dafan Hon.
देखो न इतने शौक से ये ऊँची इमारतें,
मुमकिन है कि नींव में अरमान दफ़न हों।

Two Line Shayari Dekho Na Shauk Se

Jis Taraf Chaahe Ye Qismat Ka Likha Le Jaye,
Jaise Sookhe Hue Patton Ko Hawaa Le Jaye.
जिस तरफ चाहे ये किस्मत का लिखा ले जाये,
जैसे सूखे हुए पत्तों को हवा ले जाये।

Aur Kya Chahti Hai Gardish-e-Ayyam Ki Hum,
Apna Ghar Bhool Gaye, Unki Gali Bhool Gaye.
और क्या चाहती है गर्दिश-ए-अय्याम कि हम,
अपना घर भूल गए, उनकी गली भूल गए।

Abhi To Zikr-e-Sahar Dosto Hai Door Ki Baat,
Abhi To Dekhte Jaao Badi Udaas Hai Raat.
अभी तो ज़िक्र-ए-सहर दोस्तों है दूर की बात,
अभी तो देखते जाओ बड़ी उदास है रात।

Safar Mein Koi Kisi Ke Liye Thhaherta Nahi,
Na Mud Ke Dekha Kabhi Saahilon Ko Dariya Ne.
सफ़र में कोई किसी के लिए ठहरता नहीं,
न मुड़ के देखा कभी साहिलों को दरिया ने।

Related Shayari

Shayari Categories