Shayari in Hindi

Dosti Ki Tadap

Dosti Ki Tadap Ko Kabhi Dikhaya Nahi Jata,
Dil Mein Lagi Aag Ko Bujhaya Nahi Jata,
Kitni Bhi Doorie Ho Dosti Mein Aap Se,
Kabhi Aap Jaise Dost Ko Bhulaya Nahi Jata.
दोस्ती की तड़प को कभी दिखाया नहीं जाता,
दिल में लगी आग को बुझाया नहीं जाता,
कितनी भी दूरी हो दोस्ती में आप से,
कभी आप जैसे दोस्त को भुलाया नहीं जाता।

[ Continue Reading → ]

Jo Har Waqt Yaad Aata Hai

Jab Aap Ka Naam Jubaan Par Aata Hai,
Pata Nahi Dil Kyon Muskurata Hai,
Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna,
Jo Hanste Hue Har Waqt Yaad Aata Hai.

जब आप का नाम जुबां पर आता है,
पता नही दिल क्यों मुस्कुराता है,
तसल्ली होती है मन को कोई तो है अपना,
जो हँसते हुए हर वक़्त याद आता है।

Silsile Achchhe Se Lagte Hain

Ye Din-Raat Ye Lamhe
Mujhe Achchhe Se Lagte Hain,
Tumhein Sochoon To Saare
Silsile Achchhe Se Lagte Hain.
ये दिन-रात ये लम्हे
मुझे अच्छे से लगते हैं,
तुम्हें सोचूँ तो सारे
सिलसिले अच्छे से लगते हैं।

Jalwa-o-Adaaon Ki
Ab Jarurat Hi Kya Hai?
Jab Hum Fida Hi Aapki
Saadgi Pe Hain.
जलवा-ओ-अदाओं की
अब जरूरत ही क्या है?
जब हम फिदा ही आपकी
सादगी पे हैं।

Tera Wajood Hai Lazim

Meri Najar Se Na Ho Door Ek Pal Ke Liye,
Tera Wajood Hai Lazim Meri Ghazal Ke Liye,
Kahan Se Dhhoond Ke Laaun Chiragi Se Wo Badan,
Taras Gayi Hain Nigaahein Kanwal-Kanwal Ke Liye.

मेरी नजर से न हो दूर एक पल के लिए,
तेरा वजूद है लाज़िम मेरी ग़ज़ल के लिए,
कहाँ से ढूंढ़ के लाऊँ चिराग से वो बदन,
तरस गयी हैं निगाहें कँवल-कँवल के लिए।

(Qateel Shifai)

Jhoothhi Tasalliyon Ke Siwa

Jhoothhi Tasalliyon Ke Siwa Kuchh Na De Saka,
Wo Qismat Ka Devta Bhi Shayad Gareeb Tha.
झूठी तसल्लियों के सिवा कुछ न दे सका,
वो क़िस्मत का देवता भी शायद ग़रीब था।

Kisi Ko Humsafar Na Mila Aur Kisi Ko Rasta,
Tamaam Shahar Hi Kisi Na Kisi Ko Dhhoodta Mila.
किसी को हमसफ़र न मिला और किसी को रास्ता,
तमाम शहर ही किसी न किसी को ढूँढ़ता मिला।

[ Continue Reading → ]

Shayari Categories