Shayar Kehkar Badnaam Na Karna

Shayar Kehkar Badnaam Na Karna Mujhe Dosto,
Main Roj Shaam Ko Din Bhar Ka Hisaab Likhta Hoon.
शायर कहकर बदनाम न करना मुझे दोस्तो,
मैं रोज शाम को दिन भर का हिसाब लिखता हूँ।

Galat-Fehmiyon Ke Silsile Itne DilChasp Hain,
Har Eent Sochti Hai Ki Deewar Bas Mujhse Zinda Hai.
गलत फहमियों के सिलसिले इतने दिलचस्प हैं,
हर ईंट सोचती है कि दीवार बस मुझसे जिन्दा है।

Khuda Bhi Ab Kis-Kis Ki, Fariyaad Sune,
Kisi Ka Kal Khoya Hai To, Kisi Ka Aaj Nahin Hai.
खुदा भी अब किस-किस की, फरियाद सुने,
किसी का कल खोया है तो, किसी का आज नहीं है।

Hakeekat Zid Kiye Baithi Hai Chaknaachoor Karane Ki,
Magar Har Aankh Fir Sapna Suhaana Dhoondh Leti Hai.
हकीकत जिद किये बैठी है चकनाचूर करने की,
मगर हर आँख फिर सपना सुहाना ढूँढ़ लेती है।

Kehte Hain Ki Qabr Mein Sukoon Ki Neend Aati Hai,
Ajeeb Baat Hai Ki Ye Baat Bhi Zindon Ne Kahi Hai.
कहते हैं कि कब्र में सुकून की नींद आती है,
अजीब बात है कि ये बात भी जिन्दों ने कही है।

Wo Mujhko Dasta To Hai, Par Zaher Nahin Chhodta,
Lihaaz Rakhta Hai Kuchh Meri Aasteen Mein Palne Ka.
वो मुझको डसता तो है, पर ज़हर नहीं छोड़ता,
लिहाज रखता है कुछ मेरी आस्तीन में पलने का।

Related Shayari

Shayari Categories