Duniya Ki Bheed Mein Tanha

Duniya Ki Bheed Mein Itne Tanha Ho Gaye Hain Hum,
Ab To Kambakht Parchhaiyaan Bhi Saath Nahin Deti.
दुनिया की भीड़ में इतने तन्हा हो गए हैं हम,
अब तो कमबख्त परछाइयाँ भी साथ नहीं देती।

Bheed Mein Tanha Shayari

Yoon To Har Rang Ka Mausam Mujhse Waakif Hai Magar,
Raat Ki Tanhai Mujhe Kuchh Alag Hi Jaanti Hai.
यूँ तो हर रंग का मौसम मुझसे वाकिफ है मगर,
रात की तन्हाई मुझे कुछ अलग ही जानती है।

Ab To Un Ki Yaad Bhi Aati Nahin,
Kitni Tanha Ho Gayi Hain Tanhaiyaan Bhi.
अब तो उन की याद भी आती नहीं,
कितनी तन्हा हो गयी हैं तन्हाईयाँ भी।

Meri Tanhai Maar Daalegi De De Kar Taane Mujhko,
Ek Baar Aa Jaao Ise Tum Khaamosh Kar Do.
मेरी तन्हाई मार डालेगी दे दे कर तानें मुझको,
एक बार आ जाओ इसे तुम खामोश कर दो।

Mere Marne Pe Sab Khush Honge Ai Sanam,
Bas Tanhai Royegi Mera Humsafar Chala Gaya.
मेरे मरने पे सब खुश होंगे.. ऐ सनम,
बस तन्हाई रोएगी मेरा हमसफर चला गया।

Akele To Pehle Bhi Jee Rahe The Hum,
Kyun Tanha Se Ho Gaye Hain Tere Jaane Ke Baad.
अकेले तो पहले भी जी रहे थे हम,
क्यों तन्हा से हो गए हैं तेरे जाने के बाद।

Related Shayari

Shayari Categories